Mohabat aisa sapna hay,
Jise jitna koi dekhe Naya mehsos hota hay.
Mohabat aisa manzar hay,
Jise tasawar karne me
Zamane beet jate hain.
Mohabat aisa wada hay,
Kisi k sath ho jaye to phir Tora nahi jata.
Mohabat wo taluq hay,
K jis k sath ho jaye
Usay chhora nahi jata.
Mohabat Ek paheli hay,
K jisko Raas aa jaye
To phir uski saheli hay.
Mohabat wo kahni hay,
K jitna bhi koi bhulaye,
Hamesha yad rehti hay.....♥

Blogger Comment
Facebook Comment