Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai
Simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai
Ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai
Jo ashk hai ankhon mein tasbeeh ka daana hai
Hum ishq ke maaron ka itna hi fasana hai
Rone ko nahin koyi hansne ko zamana hai
Wo aur Wafaa-dushman maanege na maana hai
Sab dil ki sharaarat hai ankhon ka bahaana hai
Kya husn ne samajha hai kya ishq ne jaana hai
ham khaak-nasheenon ki thokar mein zamaana hai
Wo husn-o-jamaal un ka ye ishq-o-shabaab apna
Jeene ki tamannaa hai marne ka zamana hai
Ya wo the khafa hUm se ya hUm the khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
Masoom mohabbat ka masoom fasaana hai
Ankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain
Nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasaana hai....

Nice Collection keep continue
ReplyDelete