Teri zulfon se jugnu iqtisab-e-noor karta hay,
ye banjara isi ban mein thakawat door karta hay,
khird jo kuch bhi karti hay hudood-e-rasm k andar,
junoon jo kuch bhi karta hay, bila'dastoor karta hay,
jo khair'andesh bhi dono ka hay, wo kis sakhawat se,
mujhe badnam karta hay, tumhain mash'hoor karta hay,
mujhe tauba ka pura ajr milta hay usi saa'at,
koi zohra jabeen peene pe jab majboor karta hay,
wo hans kar bat hi kar lain to kafi se zyada hay,
pari'zaadon se jhagra kab koi mazdoor karta hay,
nazr bazi ko arbab-e-khird kuch bhi kahain lekin,
ye rangeen masghala dil ko bohat masroor karta hay

0 comments:
Post a Comment