Zillat-E-Tanhai Se Ghabra ke Aayi Hoon
Mein Abhi Abhi sheher-E-Wafa Se Aayi Hoon
Kuch Dair Hawa Ko Baaton Mein Lagaye Rakhna
Mein Ghar Mein Ek charagh Jala ke Aayi Hoon
...
Uss Ne Poocha Hai Ehd-E-Wafa Nibhahogi
So Haathon Mein QURAN Utha ke Aayi Hoon
Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-E-Talluq Kar Le
Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata ke Aayi Hoon
Wo Ab Bhi Mujhe Anna-Parast Smajhta Hai
Mein Jisay Ro Ro ke Mana ke Aayi Hoon
0 comments:
Post a Comment