hain aankhein jheel si chehra kitaab jaisa hai





hain aankhein jheel si chehra kitaab jaisa hai
k meray yar ka her naqsh khawab jaisa hai
kisi bhi baat par ab bheegti nahi aankhen
k apna haal bhi sookhay chanaab jaisa hai
ye aarzu hai kabhi to andheri shab meri milay
wo ak shakhs k jo mahtaab jaisa hai
ye saaz.e.jaan to khamosh ek umer se hai
agarcha lehja abhi tak rubaab jaisa hai
main us k husn ki tareef kis tarha se karun
wo aftaab sa wo mahtaab jaisa hai



Share on Google Plus

About Unknown

Our team is dedicated to provide our visitors the best music entertainment and also promote underground and upcoming artists on Theabpoet.com. It’s a platform for all artists to showcase their work and talent. So keep Visiting And Enjoy unlimited music entertainment.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment