Pakistani song
VERSE 1 :
Leke chalu tumhein saath saal pehle, dkho wo pakistan, khushali, haryaali, bas aik eeman, na firkay na zaat na emaan ki mukhalifat, 1 parcham aur neechay pura pakistan,
Phir hum rang,roop, zaat ke peehay lar bethay, apni boli ke peechay khoon ki holi khel bethay,
1 marra apna tou agay se 4 unke maaray 4 ke 8, 8 ke 16 musalmaan maaray saaray, tou kyun na ho mera khuda mujhse naraaz, Kaise sunay ga wo hum gunahgaaro ki awaaz, aaj masjid tou pakki hai par eeman tou kacha hai, nahi jee paata yahan jo ratti bhar bhi sacha hai,
Ankhein kholo, galat ke khilaaf tum uth ke bolo, apne faislo ke insaaf ke taraazu mein tolo,khol lo tum geeta,bible ya QURAN,kahan likha hai k tum lelo kisi masum ki jaan.
CHORUS:
Mera sheher jalla, khoon baha,
Gaflat ki neend sota raha,
Umeed ki buland hai sadaa,
Ayegi aman ki subha,
VERSE 2 :
Kaise dega tu mujhay roti kapra makaan jab phooti kauri ke ewaz bik jaati meri maan, Jab laashein girti hain, khoon behta hai matam bichtay hain,jab saansein rukti hai,diye bujhtay hain maayein roti hain,
Beti choti hai phir bhi kehti hai baba kahan gaye, soch zara ke wo ye gham kis tarah sehti hai,
Bata zara, wo madarsa jo hamlay se ura diya, us mein parhtay masoom bachay ne kya hai gunah kiya?
Daro us waqt se jab tum mitti mein mil jaogay, apni ganday aamaalo ki safai na de pao gay,
Khuda ko tum maantay ho, lekin khud se pucho kya khuda ko tum jaantay ho? Shikway kartay ho par dua nai krna chahtay, azaan suntay ho par matlab nahi samajh paatay,wo hai
Ao salah ki taraf, ao falah ki taraf, mat jao gunah ki taraf, ao Allah ki taraf maango jo maangtay ho, batao jo jaantay ho, pyaar karo pakistan se chahay jis khuda ko maantay ho,
Dar jao ge jab khatam na hogi raat kaali, koi dene wala nahi bacha azaan e bilaali.

0 comments:
Post a Comment