Use apne farda ki fikar thi wO jO mera waqif-e-haal tha





Use apne farda ki fikar thi wO jO mera waqif-e-haal tha
WO jo uski subha urOOj thi wahi mera waqt-e-zawal tha
...
Mera dard kese wO jaanta meri baat kese wO maanta
WO tO khud fana k safar mein tha use rOkna bhi mohal tha
...
WO jO us k samne agaya wahi rOshni mein naha gaya
Ajab uski haibat-e-husn thi ajab iska rang-O-jamaal tha
...
Dam'e wapsi are kiya hua na wO rOshni na wO taazgi
WO sitara kaise bikhar gaya wO tO aap apni misaal tha
...
Kahan jaO ge mujhe chOrr kar mein ye pOOch pOOch k thakh gaya
WO jawab mujhkO na de saka wO tO khud sarapa sawal tha
...
WO mila tO sadiyOn k baad bhi mere lab pe kOi gila na tha
Use meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha
...
WO jO mujh se mil k tha rO diya faqat itna hi mujhe keh saka
jise janta tha main zindagi wO tO sirf wehm-O-khayal tha...!



Share on Google Plus

About Unknown

Our team is dedicated to provide our visitors the best music entertainment and also promote underground and upcoming artists on Theabpoet.com. It’s a platform for all artists to showcase their work and talent. So keep Visiting And Enjoy unlimited music entertainment.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment